Christian gharaney mein paida huwi, 12 years pehle mazhab change kiya, career ke start mein as a TV host rahi, Deepika Padukon ko pichey chor ker bani india ki highest paid actress.
Apna mazhab change kerne se pehle actress ka naam Diana Maryam Corain tha. Is ne study ko doran modeling start ker di thi. Movies mein aaney se pehle inhon ne as Tv host kaam kya. Nayanthara ney fashion show mein us waqt tak kam kya jab tak kissi director ne isko dekha nahi. Nayantharaney aik blockbuster film se bollywood mein start lya. Nayanthara aaj hindustan ki mehngi tareen actress mein shumaar hoti hain. Log inko Deepika Padukon aur Aaliya bhat se bari actress samjhtey hain.
Jab Nayanthara modeling ki dunya mein sargaram thi aur tarz e zindagi ke mutaliq shows ki maizbani ker rahi thi, inhein director Sathyan anthikkad ki taraf se Malayalam film ki offer huwi. Film ne box office per shandaar kamyabi hasil ki. Nayanthara ko is ke baad bohat bari bari offers aaney lagi. Aik ke baad aik superhit film bananey lagi, aaj Nayanthara famous actress Deepika Padukon aur Aaliya Bhatt se zyada famous hain. Log inko piyar se lady superstar kehtey hain. Nayanthara hindustan ki sab se zyada mehngi actresses mein se aik hain.
Lady Superstar (Nayanthara) south cinema ki wo wahid actress hain jinhen india mein 2018 ki top 100 personalities mein shamil kya gaya tha. Nayanthara ka janam aik christian ghar mein huwa aur wahi per uski parwarish huwi. But 2011 mein Nayanthara ne hindu mazhab akhtyar ker liya.
Nayanthara ney 2011 main Chennai ke aarya samaj mandir mein hindu mazhab akhtyar kya. Jis ke baad actress ne apna naam Diana Maryam se Nayanthara rakh liya.
Nayanthara ko Shah Rukh Khan ki aik film Chennai Express mein aik item song mein dance ka moqa mila, jo key Nayanthara ney ussey reject ker diya. Nayanthara ney Shah Rukh Khan ki Blockbuster Film '' Jawan '' se Bollywood mein entry ki. Jawan film ke liye actress Nayanthara ney 11 crore indian rupees liye jis se wo south cinema ki sab se mehngi tareen actress ban gai.
Nayanthara ney 39 saal ki umar mein film Malayalam aur Samaya Thamthu se Agaaz kiya aur 2011 mein film shri rama rajeem main kaam karney ke baad khud ko industry se door kr liya. Nayanthara actress hone ke sath film producer bhe hain.
Nayanthara ney 2022 mein director Vignesh Shivan ke sath shadi ki. Jab Nayanthara surges' ke zarye judwa bachon ki maa bani to un per khoob tanqeed huwi.
Nayanthara Movies List:
| Name | Name | Name | Name |
|---|---|---|---|
| Jawan (2023) | Jai Simha (2018) | Arrambam (2013) | Kaathuvaakula Rendu Kaadhal (2022) |
| Iraivan (2023) | Dora (2017) | Indian-2 | Boss Engira Bhaskaran (2010) |
| Connect (2022) | Aramm (2017) | Raja Rani (2013) | Yaaradi Nee Mohini (2008) |
| Godfather (2022) | Iru Mugan (2016) | Adhurs (2010) | Chandramukhi (2005) |
| Annaatthe (2021) | Velaikkaran (2017) | Body Guard (2010) | Sivaji: The Boss (2007) |
| Netrikann (2021) | Kaashmora (2016) | Aadhavan (2009) | Love Action Drama (2019) |
| Darbar (2020) | Puthiya Niyamam (2016) | Villu (2009) | Kolamaavu Kokila (2018) |
| Mookuthi Amman (2020) | Thirunaal (2016) | Kuselan (2008) | Imaikkaa Nodigal (2018) |
| Viswasam (2019) | Bhaskar the Rascal (2015) | Satyam (2008) | Naanum Rowdy Dhaan (2015) |
| Airaa (2019) | Thani Oruvan (2015) | Aegan (2008) | Massu Engira Masilamani (2015) |
| Bigil (2019) | Maya (2015) | The Test | Idhu Kathirvelan Kadhal (2014) |
| Ayya (2005) | Vallavan (2006) | Billa (2007) | |
| Manassinakkare (2003) | Boss (2006) | ||
| Yogi (2007) | Ghajini (2005) |
-----
| Title | Genre |
|---|---|
| Jawan (2023) | Jai Simha (2018) |
| Movie 2 | Drama |
| Movie 3 | Comedy |
| Movie 15 | Adventure |
| Movie 16 | Sci-Fi |
| Movie 17 | Thriller |
Umeed karti hun apko yeh article pasand aaya hoga, comments mein apni rai ka izhar zurur karein.
